************************************************
Aaj hum unhe bewafa batakar aaye hain Unke likhe khaton ko pani me bahakar aaye hain Koi nikaalkar padh na le unn khaton ko Isliye pani me aag lagaakar aaye hain
************************************************
Ek bewafa se wafa kar rahi hu main usse nahi khud se zafa kar rahi hu main wo jee raha hai shaan se apni zindagi aur zindagi ko khud se khafa kar rahi hu main************************************************
Thukra ke usne mujhko kaha ki muskuraao Maine has diya aakhir sawal uski khushi ka tha Maine khoya woh jo mera tha hi nahi Usne khoya wo jo sirf usi ka tha************************************************
Jiske pyaar ke liye humne sabko daga diya Jiski yaad me humne rab ko bhula diya Phir bhi tohfa mila mujhe intezaar ka Jiske izhaar ki khatir khud ko mita diya************************************************
Kabhi khushi mili to kabhi rooth gayi mujhse Teri yaad meri zidagi loot gayi mujhse Itna dard tha mila tere pyaar se mujhe Bandagi mere rab ki bhi chhooth gayi mujhse************************************************
Kisi se dil lagaya na hota Gham itna ankho me aaya na hota Samajhte kisi ko na puri duniya apni Duniya me khudko tanha paya na hota
No comments:
Post a Comment