Latest News

Sad Shayari Page 20

Sad Shayari Page 20

************************************************

nikalte hain jab tumhare aansu
dil karta hai saari duniya jalla du
phir sochti hu ,honge tumhare bi apne
kahi tumhe phirse rula na du……….




************************************************

Har umar ka rasta humwar nahi hota
har saaya madadgar nahi hota
majbooriya ho to aur baat hai warna
janam se koi gunahgar nahi hota


************************************************

Har hawa ka jhoka toofan nahi hota
har aadmi insaan nahi hota
pathar to har mod pe milta hai lekin
har pathar bhagwan nahi hota.


************************************************

Dosti humari aap kbhi bhulana nahi,
Humse kabhi bhi apna koi gam chupana nahi,
Har waqt hume apne paas payoge,
Yaado ka deepak kabhi bhujana nhi,
Ladenge, jagdenge apko rulayenge bhi,
roothoge to apko manayenge bhi,
udaas rahoge to apko hasayenge bhi,
kuch bhi ho lakin ye dosti ka rishta kabi thukrana nahi.

************************************************

mast riwajo pe sakht pehra
n jane dil konsi umid pe thahra
aankhon se chalakte hue asko ki kasam
gum ka rista dil me bahut he gahara.




************************************************

wo hume is kadar bhaye ki hum mohabbat kar bethe,
kaha to tha wo bhi hume pyar hai, par ye to such hai ki hum apna chaino sukun gawan bethe.
kiye jo milkar mohabbat mei vade wo ek pal mein bhula bethe.
Uske vado par karke bharosa hum to apna sub kuch luta bethe.
Aur kya btayu yaaro me to uski mohabbat mei is kadar hua pagal ki bina soche apne hatho se apni hasti mita betha.
Khelna hi tha mere dil se to naam-e-ishq badnaam kyu kiya


************************************************

Bardaasht karte karte ab sabr toot gaya,
is sab kahasuni mein lagta hai kuch peeche choot gaya..
apni gairat tak kho chuke hain hum,
na jaane zindagi abhi aur kya dhikhayegi rang..
sambhala tha apne jis vajood ko ta umr humne,
aaj aaine mein bhi uski pehchaan hoti hai mushkil mein.


************************************************

bhid me koi apna sa ham dhundte hain
jaisee tapti dhup me shabnum ham dhundte hain
dewangi me aksar unhe dhunda kiye
hosh me aakar unhe kam dhundte hai
ab tak jo muskurahat sikhata raha
usi k hontho pe tbsum ab ham dhundte hai
odhe rakha hai chehre pe hamne khushiyo ka saya? dhundne wale chehre pe matam dhundte hain
ek wo hai jinhe gehre baithi hain khushiyan sari or ek ham hain…jinhe jamane ke sare gam dhundte hain….


************************************************

Wafa ki rahon ko aasan samajh liya
kantoon ki wadi ko gulistan samajh liya
hum ise aashiqui kahen ya saadgi
katil ko apna maharbaan samajh liya …….


************************************************

saamne reh kar vo mere mujhko zakhm ese deta hai
jaise usko pyaar karne ki saza vo mujhko deta hai
jaane kitni baar kaha humko aaj bhi tumse pyaar hai
badlunga na mai kabhi dil se karta vo iqraar hai
hum bhi kitne naadan the jo yakeen uska kar liya
kitna paak tha pyaar mera vo sara usi se kar liya?
kaise keh du mai usko kuch,jo kabhi sirf mera imaan tha
begunaah hai vo shayad in paak rishto se anjaan tha
kuch bhi kehna nahi chahte us se mgr halaat mazbur kar dete hai
na chah kar bhi vo har pal ik nya zakham mujhko dete hai
na samajh sake vo mera pyaar na samjhi meri dosti
khud ko jala kar bhi humne deni chaahi usko roshni
kuch bhi ho is dil ko unse pyaar hai
gum nahi dungi khushiya is baat ka iqraar hai……


************************************************

No comments:

Post a Comment

gaming world Designed by Templateism.com Copyright © 2014

Theme images by Bim. Powered by Blogger.