************************************************
Tay karna tha ek lamba safar par koi hamsafar nahi tha; Mujhpe aate jate mausamo ka koi asar nahu tha; Kya khub mili thi unse meri najar kisi roj; Ab na mile wo ek pal bhi to hamko sabar nahi tha.
************************************************
kya khub kaha tha galib ne ishq ek aag ka dariya hai; Jaana hai rahi ko us paar jahan basi uski duniya hai; Sochta hai rahi doob ke jau ya tair ke jau us par; Ab lautne ka na waqt hai aur na hi bacha koi jariya hai.************************************************
Haara hun main mohabbat ki har baji har imtihaan ko; Kyun nahi milti kamyabi is sansar me dil ki juban ko; Mujhe shikayat nahi hai gairon se kabhi ; Jab apno ne hi diya hai mera naam har iljaam ko.************************************************
Ek hasrat thi ki unke dil mein panah milegi; Kya pata tha unse mohabbat ki saja milegi; Na apno ne samjha na giaron ne jaana; Kya pata tha meri taqdir hi mujhe bevafa milegi.************************************************
unse judai ka ek lafz mujhe shool sa lagta hai; Unke bina sab kuch mujhe dhool sa lagta hai; Kaise batayen unhe ki kitni mohabbat hai unse hame; Unki chahat ke siva mujhe sab fijool sa lagta hai.
No comments:
Post a Comment