
************************************************
Pyar hai unse par unko apne pe gumaan hai Nahi hai unme koi dil aisa unka farmaan hai Zindagi ki khushiyon se woh toh lage anjaan hai Par pyar de unhe sagar jitna dil ka kuch aisa armaan hai************************************************
Ashkon ke dhaare rukne lage ab kitna rulaana baki hai iss pyar mein kya kya dekh liya kya aur dikhaana baki hai Dil ke har ik tukde mein ab bhi tera hi naam hai aas kare ab bhi dhadkan ki tera aana bas baki hai Aankhon se pillayi gairon ko hamaare liye katra bhi nahi doobe they kabhi teri aankhon mein bas ab doob hi jaana baki hai Pyar mein pyar ka naam nahi yahaan sirf hain zakham khule itne uthata gam aashiq ki bas ab uth hi jaana baki hai************************************************
Subhaa ke intezaar mein diya yaadon ka jala liya ashkon ka piya jaam aur dil bhi jala liya Intihaa hui subaha ki intihaa teri ho gayi kis baat ka hamse dono ne sila liya Har raah hum nazrein bichhaye baithe rahe aa jao ki ab to ashkon mein khoon bhi mila liya************************************************
kahan koi aisa mila jis pe dil luta dete har ek ne dhoka diya kis kis ko bhula dete dil ka dard dil me hi dabakar rakha agar bayan kiya hote to mehfil ko rula dete
No comments:
Post a Comment