Latest News

Motivational shayari | inspirational shayari | encouragement |- Page 4

Motivational shayari | inspirational shayari | encouragement |- Page 4


~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*


dil ke har lafzo ko bayan karte ye phool
khusihya aur gam ko sametate ye phool
har haal me jeena sikhaate ye phool
mausam ke har rang ko sehna sikhate ye phool
gam-e-dil ko hasna sikhate ye phool
nai umeed aur umang jagate ye phool
aankho se utar kar dil ko sukun pahuchate ye phool
chanchal hawano ke sang ud jaana sikhate ye phool
dilo ke darmiyan duriyan mitate ye phool
raah chalte raahi ka dil lubhate ye phool
fizayo ko mehkaate aur raaho me bichh jate ye phool
dilruba ke hotho pe muskurahat laate ye phool

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*


Log ruk ruk kar sambhaltein kyon hain
Dar lagta hain itna to
ghar se nikaltein kyon hain
Main na diya hu na koi tara hu
Roshni wale mere naam se jaltein kyon hain
Mod hota hain jawani ka sambhalne ke liye
Aksar is mod par akar log phisaltein kyon hain

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*


Toota hai dil par tooti nahi hai aas
Num hai palke magar fir bhi chal rahi hai saans
Chahe ho jitne bhi gum par ye dil nahi hai niraash
Aur khushi ke pal lautenge dil ko hai pura vishwas

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*


Gum mein muskurana toh hai ek kala
Dard mein doob jane se na hua hai kisi ka bhala
Chahe aap dikhti ho koi bhi bala
Dil aapke bin bhi hai khushiyon mein dhala



~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*


Dheere dheere dil ne dhadkna seekha
Dheere dheere dil ne sambhalna seekha
Dhhere dheere har raho pe chalna seekha
Aur dheere dheere har mausam mein humne hasna seekha

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*


Meri Zindagi, Meri Jaan-e-Jaan
Mujhe Le Chalo kabhi Us Jahan
Jahan Tu Hi Mera Naseeb Ho
Jahan Dil Se Tu hi Qareeb Ho
Jahan Gham Kabhi Na Aa Saken
Jahan Nafratein Na Sata Saken
Jahan Qurb Ho, Jahan Ho Khushi
Jahan Chahati Ho Hamein Zindagi
Jahan Dil Mera Na Udaas Ho
Jahan Her Jagah Teri Aas Ho
Meri Zindagi Meri Jaan-e-Jaa
Mujhay Lay Chalo kabhi Us Jahan

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*


Ho Gayi Hai Peer Parvat Si Pighalni Chaahiye
Is Himalaya Se Koi Ganga Nikalni Chaahiye
Aaj Ye Deewar, Pardon Ki Tarah Hilne Lagi
Shart Lekin Thi Ki Ye Buniyaad Hilni Chaahiye
Har Sadak Par, Har Gali Mein, Har Nagar, Har Gaanv Mein
Haath Lehraate Hue Har Laash Chalni Chaahiye
Sirf Hungama Khada Karna Mera Maksad Nahin
Meri Koshish Hai Ki Ye Surat Badalni Chaahiye
Mere Seene Mein Nahin To Tere Seene Mein Sahi
Ho Kahin Bhi Aag, Lekin Aag Jalni Chaahiye

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*


Dard ki aanch par ghamon ko ubaal tu
dil mein na zyaada vahmon ko paal tu
saamne manzil aur sunhara aasmaan hai
kaat de charon taraf bune ye jaal tu
ye jamana na tere haath aayega
madaari ban dikha koi kamaal tu
ek chhed hai kaafi paani girane ko
ek patthar aasmaan ki aur uchhaal tu
nanhe ankur aaj nahi to kal niklenge
bas ek lota jal isme daal tu

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*


Pyar ki kashti mein sawar do guldaste
Saath khelte hai saath haste
Khuda chahe bhi to inhe alag nahi kar sakta
Kyuki manzil payenge zaroor ye ek din
Chahe ho hazar raste

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*


thokar khakar gungunana zindagi hai
gum paakar muskurana zindagi hai
sukh ke saath jiye to kya jiye
gum bhulakar jashn manana zindagi hai

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*


No comments:

Post a Comment

gaming world Designed by Templateism.com Copyright © 2014

Theme images by Bim. Powered by Blogger.