~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Rehne de aasmaan, zameen ki talaash kar Sab kuchh yahin hai, kahin aur na talaash kar Har aarzoo puri ho, to jeene ka kya mazaa Jeene ke liye bas ek khubsurat wajah ki talash kar~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Use kehna ke palko pe na taane khwaab ki chaadar samundar ke kinare ghar bana ke kuch nahi milta mujhe aksar sitaron se yahi awaaz aati hai kisi ke ishq mein neendein ganwa kar kuch nahi milta Jigar ho jayega chalni ye aankhe khoon royengi yahaan be faiz logon se nibha ke kuch nahi milta~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Aaj hai yeh baat mere khwaabon mein kyoun nahi hum inn kuch kitaabon mein kya hai jo kuch mein kuch alag hai kuch to hoga jo hum me alag hai Kyoun koi khaas yahaan, kyoun koi aam hai kyoun naa hamaara kuch khaas mein naam hai kisi ne kaise uncha makaam paya hai kuch to hum me bhi hoga jo saamne nahi aaya hai Kabhi to hum bhi honge unn kitaabon mein yeh baat sach hogi naa hogi sirf khwaabon mein~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Manzil mil hi jaayegi Bhatakte hue hi sahi Gumraah to wo hain jo ghar se nikle hi nahi
No comments:
Post a Comment